Thursday, August 4, 2011

NOUGHTU SMS

Ek duje pe martety the,
Hum pyar ki baaten karten the,
Khabo me khoye rehtey the,
Baho me soye rehtey the
Hum ashiq the deewane the
Is duniya se beghane tha
Yeh un dino ki baat hey,
Jab hum pagal pagal phirtey the.
Yeh un dino ki baat hey,
Jiab hum pagal pagal phirtey the..

Kehtey the kuch suntey the;
Hum phul wafa k chumtey the.
Kabhi hastey the kabhi rotey the,
Hum Yaar juda jab hotey the,
Hume sab kuch acha lagta tha,
Afsana sacha lagta tha,
Yeh un dino ki baat hey,
Jab hum pagal pagal phirtey the.
Yeh un dino ki baat hey,
Jab hum pagal pagal phirtey the.

Tanhai me jab miltey the,
Dil me hulchul si hoty thi;
Hum dono jagtey rehtey the.
Jab sari duniya soty thi,
Jab yaad tumhari aaty thi,
chahat k nagme gatey the,
bechain deewani dhadkan ko.
Behlatey the samjatey the,
Yeh un dino ki baat hey,
Jab hum pagal pagal phirtey the.
Yeh un dino ki baat hey,
Jab hum pagal pagal phirtey the…

Ek duje pe martety the,
Hum pyar ki baaten karten the,
Khabo me khoye rehtey the,
Baho me soye rehtey the
Hum ashiq the deewane the
Is duniya se beghane tha
Yeh un dino ki baat hey,
Jiab hum pagal pagal phirtey the.
Yeh un dino ki baat hey,
Jiab hum pagal pagal phirtey the..
Phirtey the phirtey the…


Tue 7 Apr 2009
Duaa Hone Ko Jee Chahe
Posted by Rahul under Short Hindi Poems
Comments Off

Tere Honton pe Saj jaun DUAA hone ko Jee chahe
Mera Dunya bhula kar bas Tera hone ko Jee chahe

Yun sab k samne Athkelyan karti hai ye Tujh se
K Mera Be-Irada hi HAWA hone ko Jee chahe

Tu Mere Roothne per is Tarha Mujh ko Manati Hai
Kabi to Be-Waja Tujh se Khafa hone ko Jee chahe

Kabi Tujh se mile bin Zindagi bekaar lagti hai
Kabi Tujh se Bicharne ko Juda hone ko Jee chahe…


Tue 7 Apr 2009
Hum Tum…
Posted by Rahul under Short Hindi Poems
Comments Off

Kehna Tum se Hai,Tum Apna Khayal Rakhna,
Pooch Lena Mujhe,Naa Mere Liye
Dil mein Koi Sawaal Rakhna

Main Yeh Nahi Kehta Ke Sab Kuch Yaad Rakhna,
Jab Hum Mile Thay Bas Yaad Wo Din,
Wo Ghadi Aur Wo Saal Rakhna

Naa Sochna Kabhi Ke Badal Jayenge Hum,
Hum Khawab Nahi Jo App Ki
Aankhon Se Nikal Jaayenge

Agar Yakeen Naa Ho To
Mujh Se Meri Zindagi Maang Lo,
Bichha Dena Pyar Ki Baahein,.
Hans Kar Mar Jaayenge Hum


Mon 6 Apr 2009
kuch bi nahi…
Posted by Rahul under Short Hindi Poems
Comments Off

koi zakham nahi, na koi dard hai
bass eik khamoshi see iss dil mein hai
kuch diya bi nahi, tho kuch koya bhi nahi
bass eik adhoorapan iss dil mein hai

na kuch kehnay ko hai na sune ko
sawal bi mann may nahi, karne ko
bhulana ko kya, koi yaad bi nahi
bass eik baychani si iss dil mein hai kahi

chaand say kya kahu, koi andhera bi nahi
na din ki talaash hai, na roshni ki kami
gham, udaasi, koi Aansoo bi nahi
pir iss dil ko kiss cheez ki hai kami?


Sun 5 Apr 2009
Main Waqt hun Tareeq ke Matha pe Likha hun…
Posted by Rahul under Short Hindi Poems
Comments Off

Koun si Manzil Hai Kahan Aa ke Ruka hun,
Har ek se Khud Apna Pata Pooch Raha Hun,
Phoonkoun se Mitta hun na Mittane se Mitta hun,
Main Waqt hun Tareeq ke Mathy pe Likha hun ”
Aaye hain Wohi mere Ghar ko Aag lagane,
Main Jinke Chiraagoun mein Lahoo ban ke Jala hun.

Zindagi Zakhmoun se Bhari hai ,
Waqt ko Marham banana Seekh lo,
Harna to hai Mout ke saamne ,
Filhaal Zindagi se Jeetna Seekh lo,

Na jane kis ki Duwaoun ka Faiz hai Mujh Par,
Main Doobta hun aur Dariya Uuchaal deta hai.


Tue 24 Mar 2009
Kuch Loog…
Posted by Rahul under Short Hindi Poems
Comments Off

Kuch loog ruth kar bhi
Lagte hain kitne pyare
Chup rah k bhi nazar main
Hain pyar k isharee

Hum un pe berukhi ka
Ilzaam kyun lagayeen
Un ki jafa ka aye dil
Hum kyun bura manayeen
Jo chayeen ab kareen woh
Dil pe sitam hamare

Is dil main kaise kaise
Tufaan machal rahe hain
Apni hi aag main hum
Chup chaap jal rahe hain
Hain kitne khubsurat
Is aag k shararee


Tue 24 Mar 2009
Yeh Saal Acha Hay.!
Posted by Rahul under Short Hindi Poems
Comments Off

Aaoo is saal mohabbat ki
Kasam khayeen sanam
Ek najumi ne kaha hay k
Yeh saal acha hay

Zindagi bhar k liye
Hum tere ho jayeen sanam
Ek najumi ne kaha hay k
Yeh saal acha hay

Teri sansoon ki mehak
Mere sanson main base
Rang chahat ka sanam
Mere hathon main rache
Kyun na ek roup main do
Roup yeh dhal jayeen sanam
Ek najumi ne kaha hay k
Yeh saal acha hay

Ab na bichren ge kabhi
Dil se dil ase mileen
Aarzuon k kanwal
Aaj kuch ase khileen
Nikhra nikhra sa nazar
Ane laga hay mousam
Ek najumi ne kaha hay k
Yeh saal acha hay

Gungunati hay faza
Jhuum uthi bad_e_saba
Pyar k jaam liye
Aa gayi kali ghataa
Jaam ulfat k piyeen aur
Bahak jayeen qadam
Ek najumi ne kaha hay k
Yeh saal acha hay

No comments:

Post a Comment