Thursday, August 4, 2011

MASTANA SMS

Kaash hum tum ajnabi hote,
Jis tarhan log hua karte hein…
Be taAlluq sey, be taArruff sey.
Kaash hum tum ajnabi hote!

Be qaraari na be kali hoti,
Na mukammal, na Zindagi hoti…
Yun na hoti azyatein Dil mein.
Zindagi bhi na hoti mushkil mein!

Aansu’on se na dosti karte,
Apne Dil se na dushmani karte…
Doosr’on ki tarha hum bhi khush rehte,

Kaash hum tum ajnabi hote…!!!

Submitted By: Vinay Malhotra


Fri 20 Mar 2009
I Hate You…
Posted by Rahul under Short Hindi Poems , SMS in Hindi
1 Comment

Ruth gya hai mujhko manane waala
Ab koi nahi naaz mera uthaane wala
Per jaane kya sonchta hai
Yeh khula darwaaza
Shayad rasta bhool gaya, aaane waaala
Mana teri nazar mein tera pyaar hum nahi,
kaise kahen ki tere talabgaar hum nahi,
Khud ko jala ke khak kar dala, mita diya,
lo ab tumhari raah mein dewaar hum nahi,
Jis ko sanwara humne tamannaon ke khoon se,
gulshan mein us bahar ke haqdaar hum nahi,
Dhokha diya hai khud ko muhobbat ke naam se,
kaise kahen ki tere gunahgaar hum nahi..
Hate You…


Tue 3 Mar 2009
Ek nai rachna
Posted by Rahul under Short Hindi Poems
Comments Off

Dil main ye jo dard hain mere
Mohabat main mile ye Zakham gahre
Dil ne kee thee jiski bari paayar se chaha
Thoad kar dil mera, mukh se na nikli unki aah

Har dil ke tukre tukre main naam tera hee milega
aghar uske bhee tukre kar do usmain bhee wahi dikega
Kam na ye mohabat tumain kaheen milegi
Merei har ek raah main teri hee chaha dekhegi

Mohabat main ho agar aur kohi mukaam
Who bhee choon loonga
De sako aur bhee agar gum
To usko bhee le loonga

Dard ka ye jo dil main hain tufaan
Na iski kohi manzil na hain kohi mukaam
Agar hain main hain khuch to
Wo bhee ek tera hee naam

Muje wo sab saharash swikaar hain
Jo khuch bhee mila aapke paayar main
Bhale issne kiya muje barbaad hain
Lekin usmain bhee aapki yaad to hain


Sun 28 Sep 2008
Beautiful Hindi Poem “Ye Yaqeen……..”
Posted by Rahul under Short Hindi Poems
Comments Off

Ye Yaqeen Khud Ko BaharHaal Dilana Hoga
Hum Musafir Hain, Yahan Se Humain Jana Hoga

Ye Wo Basti Hai Jo Basti Hai Ojarrnay K Liye
Ghar Kahin Aur Humain Ja Kar Basana Hoga

Ye Yaqeen Khud Ko BaharHaal Dilana Hoga
Hum Musafir Hain, Yahan Se Humain Jana Hoga

Dil Banay Aisa K Hum Shoq Se Jaayain Warna
Dil Na Chahayega Magar Jaan Se Jana Hoga

Ye Yaqeen Khud Ko BaharHaal Dilana Hoga
Hum Musafir Hain, Yahan Se Humain Jana Hoga

Band Hotay He Khulaingi Hamari Aankain
Ranj-o-Hasrat Ka En Aanko Mai Fasana Hoga

Ye Yaqeen Khud Ko BaharHaal Dilana Hoga
Hum Musafir Hain, Yahan Se Humain Jana Hoga

Dil Ojarrnay Se Bachana Hai To Laila Ki Bajaaye
Apnay Dil Ko Ghum-e-Maula Se Sajana Hoga

Ye Yaqeen Khud Ko BaharHaal Dilana Hoga
Hum Musafir Hain, Yahan Se Humain Jana Hoga

Ba-Khuda Gar Humain Pana Hai Khuda Ko Dosto !!
Ba-Khuda Tak Humain Har Haal Mai Jana Hoga

Ye Yaqeen Khud Ko BaharHaal Dilana Hoga . . .

No comments:

Post a Comment